b1

Sunday, December 9, 2012

Bahllay Dinoon Ke Baat Hay!


BhalaY dinoN kee baat haY bhali see aik shakaL thee
na yeh kaY hus'n-e-tamaam ho na dekhnaY maiN aam see
na yeh kaY chalaY tau kehkashaaN see rah-guzar lagaY
phir bhee saath ho tau bhala bhala sa safar lagaY 

koyee bhee ru't ho uss ka ja'b faza kaa ra'Ng-o-roop thee
woh garmiyoN kee chaa'ooN thee woh sardiyoN kee dhoop thee
na muddatoN judaa rahaY na saath subh-o-sham hee
na rishta-e-wafa pay zid na yeh kay izn-e-aam hee

na aisee khush libasiyaaN kay saadgi gila karay
na itni bay takallufi kay aai'na hayaa karay
na ikhtalaat maiN woh ra'mm kay bad-mazah hoN khwaahishaiN
na iss qadar sapurdagi kay zich karaiN nawaazishaiN

na ashiqi janooN kee kay zindagi azaab ho
na iss qadar KaThor pa'n kay dosti kharaab ho
kabhi tau baat bhee khafi kabhi sakoot bhee sukhan
kabhi tau kisht-e-zaafraan kabhi udaasiyoN kaa ba'n

sunaa hay aik um'r hay mua'amlaat-e-dil kee bhee
was'l-e-jaaN faza tau kiya firaaq-e-jaaN ghussal kee bhee

so aik roz kiya huvaa! wafa pay beh's chiR gayee
maiN ishq ko amar kahooN woh meri zid say chiR gayee

maiN ishq kaa aseer thaa woh ishq ko qafas kahay
yooN hee Um'r bhar kay saath ko ba'd taraaz hawas kahay:

"shajar hajar naheeN kay hum hamesha pa ba-guL rahaiN
na Dor haiN yeh rassiyaaN galay maiN mustaqiL rahaiN
muhabbatoN kee wusa'taiN hamaaray dasto-pa maiN haiN
ba's ik dar say nisbataiN saNg-e-baa wafaa maiN haiN
maiN koyee painting naheeN jo ik frame maiN rahooN
wohi jo ma'n ka meet ho ussi kay prem maiN rahooN
tumhaari soch jo bhee homaiN iss mizaaj kee naheeN
mujhay wafa say bey'r hai yeh baat aaj kee naheeN"


na uss ko mujh paY maan thaa na mujh ko uss pay zo'am hee
jab koyee eh'd hee na ho tau kiya gham-e-shikastagi?

so apna apna rasta hansee khushi badal diya
woh apni ra'h pay chaL paRi maiN apni ra'h pay chal diya

bhali see aik shakal thee bhali see uss kee dosti

abb uss kee yaad raat din
naheeN! magar!!!!!  Kabhi Kabhi

No comments:

Post a Comment

Imran Khan and the Current economic & political situation of Pakistan

 Apparently Pakistan's economy is sliding down - two of the most hit sectors are textile and automobiles, one is struggling to export Pa...